URDU OLD PAPERS PPSC, NTS MCQS FOR URDU PORTION
1.”Udaas Naslain” kay musannif ne ______ jaisa zakheem novel bhi likha hai.Nadaar log
2. “ban ki chirya” kay shair kon hain?
Majeed Amjad
3. “Black out” kay takhleeq kar ——– hain.
Faiz
4. “Announcer” kay khaliq hain?
Mukhtar Saddiqui
5. “Punjabi Zamindar ka qissa” ——– me shamil hai.
6. “Deevan” kay ilawah Nasir Kazmi ka shairi majmooa _____ bhi hai.
barg e nay
7. “Chand hum asr” me _______ khakay hain.
24
8. “Khizar-e-Raah” Iqbal kay ______ shari majmooay me shamil hai.
bang e dara
9. “Khakim Badhin” kay debaachay ka unwaan hai?
dast e zulaikha
10. “shab-e-rafta” ka intisaab kis kay naam hai?
subh e Nau
11. “Udaas Naslain” kay _____ abwaab hain.
50
12. “Maai Gul Bano” ka musannif hain——–.
Ahmad Nadeem Qasmi
13. “Kapaas k Phool” me kitnay afsaanay hain?
17
14. “Mas-e-khaam ko jis ne kundan banaya
Khara or khota alag kar dikhaya” kis ka shair hai?
Haali
15. Majeed Amjad ka kulyaat ______ ne murattab kiya.
Dr.khawja Zikriya
16. “Aab-e-gum” or “Zargushat” kay musannif ka naam?
Mushtaq Ahmad Yousafi
17. Udaas Naslain kay hero ka naam _______ hai.
Naeem
18. “Zindagi” ka ta’luq kis sinf-e-adab se hai?
Tamseel
19. Raja Gidh ki heroin ka naam _______ hai.
seemi
20. “Seerat-un-Nabi (pbuh) kay ilawah Shibli ki sawaneh nigari ki kitab _____ bhi hai.
Hayat e Javed
1. Elm ul Iqt’saad k Musanif ka naam batain?
Allama Iqbal
2. Daar ul Musanifeen Azam Garh k baani ka naam batain?
Shibli
3. Jahan e Danish kis Noyat ki tasneef hai?
Sawan’h e Hayat -Autobiography of Ihsan Danish
4.Ismaeel Mairthee kis hasiyat se mashhoor hain?
Bachon k Shayer
5. “Aab e hayat” k musanif ka naam batain ?
Muhammad Hussain Azad
6. “Asbab e baghawat e Hind” kis ki tasneef hai?
Sir Sayyed
7. “Awaaz Dost” k musanif ka naam batain?
Mukhtaar Masood
8. Muslim University Ali Ghar kis san mein University bani?
1920
9. Doctor Jaan Gul Crist Fort william college main kia thay?
principal
10. Mashhoor mushtraq “Gaarsan Ditasi” Ka taluq kis mulk se tha?
?
11. Novel “Talash e Baharan” ki musanifa ka naam?
Jameela Hashmi
12. ‘Raani Kaitki’ ki kahani ka musanif kon hai?
Insha Ullah Khan Insha
13.’ Bajang Aamad’ k musif ka naam bataeye?
Col. Muhammad Khan
14. Shaeri majmooa “Khushboo” ki Shaaira ka naam?
Parveen Shakir
15. Urdu adab ki mukhtasir tareekh kis ne likhe?
Doctor Saleem Akhtar
16. Urdu ki pahli novel nigar khatoon?
Rasheeda Nisa
17. Meer Taqi Meer k kitnay deewan hain?
6
18. Raes ul Mut’ghazleen kis shaair ka khataab hai?
Hasrat Mohani
19. Mirza Ghalib ki sad(100) sala barsi kab manaye gae?
1969
20. Shaah Naama Islam kis ki tasneef hai?
Hafeez Jhulandhari