11/27/2014

URDU IMPORTANT MCQS, NTS TEST



1. Dakkan me urdu kay aghaz kay nazariye ka bani kon hai?
Naseer Ud din Hashmi
2.
Ghalib ne urdu ki kis kitab ko alfaaz ka bhatyar khana qarar diya hai?
Fasana e ajaa'ib
3. Urdu me mazmoon ki sinf ko kis ne muta'rif karaya?
Sir Syed Ahmad Khan
4. Kis novel me haraam o halal ka nazariya pesh kiya gaya hai?
Raja gidh
5. Kis afsana nigar ne apnay afsaano me ziyaada tar dehi mua'sharat ko pesh kiya?
Ahmad Nadeem Qasmi
6. Kis afsaanay ka bunyadi mozu tasanna or zahirdari hai?
Overcoat
8. "mitti ka diya" sinf kay aitbar se kya hai?
Khud navisht
10. Kis shairah kay haan "khusboo" lafz tawatar k sath istemal hua hai?
Perveen Shakir
12. kis shair ko mirza ghalib ki shagirdi ka sharf hasil hua?
Haali
13. Kis shair kay nazdeek jannat ki haqeeqat dil ko khush rakhnay ka bahana hai?
Ghalib
15. Kis naqaad ne anees or dabeer kay kaam ka jaiza ek sath liya hai?
Shibli
18. "Akhbar Urdu" ka taluq kis idaaray se hai?
muqtadira qaumi zuban
19. Pakistan adab ki tahreek ki awaleen awaz kis ne buland ki?
Muhammad Hasan Askari
20. "Taa'subaat" kis naqqad kay tanqeedi mazameen ka majmooa hai? 
Fateh Muhammad Malik
5)Nazm "Manto" kis shairi majmooa mein hai?
Shab e rafta
6)"Haasil na kijye daher se ibrat he kyon na ho"____ka misraa hai
Mirza Ghalib
7)Theudor Morison ka ziker____k khakay mein hai.
Sir Syed Ahmad khan
8)Heart Attack______ki nazm hai.
Faiz Ahmad faiz
9)Naeem_____ka kirdaar hai.
Udaas naslen
10)_____Aagra mein paida hue aur Delhi mein Mughal darbar se wabasta rahay..
Mirza Ghalib
11)"Aik Khadim e Khalq ki kahani"_____ki tehreer kerda hai.
Ch.Afzal haq
12)Intekhab e kalam e Meer pehli baar kab shaya hua?
1930
13)____1911 mein Sialkot mein paida hue aur lahore mein wafat payi.
Faiz Ahmad Faiz
14"Mein he tou ik raaz tha seena e kaainat mein"_____ka misraa hai.
Iqbal
15)"be'khudi le gayi kahan ham ko
daer se intezaar hai apna"______ka sher hai
Meer taqi Meer
16)Prof Sohail____ka kirdaar hai.
Raja Gidh
17)Khawaja Altaf Hussain Haali_____k mushayiron mein shareek hue,
Anjuman e Panjab
18)Shibli Naumani ki "Seerat un Nabi" ko ____ne mukammal kia
Syed Suleman Nadvi
19)Mah o saal e aashnayi_____ka safarnaama hai.
Faiz Ahmad faiz 
20-aamon ki tareef mein masnavi kis ne likhi?
Ghalib
21-Meer ki aik Masnavi ka unwaan____hai           khawb o khayal
22-Baal e jibreel k ibtadaai safhay per sirf aik shaer hai,jisay Allama Iqbal ne "Bhartar hari se Mansoob kia hai,ye shayir kis daur ka hai?    uneesveen sadi
23-Khakim ba'dehan mein khaakon ki tadaad?      8
24-Shab e rafta mein nazmen aur ghazlen___unwaanat k tehat likhi gayi hain. 3
25-Meer taqi Meer ki shaayiri k kitnay deewan hain?       6
26-Hafeez k shahnama ki kitni jildain hain? 4
27-Musaddas mein Haali ne musalmano k____ka ziker kia hai     Maazi
28-Sar e waadi e seena Faiz ka kon sa majmooa hai?     5th
29-"Ham urdu mizaah k ahd e yousafi mein jee rahay hain" kis ka qaul hai?     Dr.Zaheer fateh
30-Sar e waadi e seena mein faiz ki shayiri 1965 se____tak hai. 1971
31-Ahmad Naseem Qasmi k afsanay____pas manzer ki akkasi kertay hain      daihi(rural)
32-Manzil e shab ka talluq kis sinf se hai?            shaayiri
33-Faiz ki shayiri____shaiyiri hai               samaaji
34-chand ham aser mash'hoor adeebon k____hain         khaakay
35-_____k kalam mein tasavuff,falsafa aur science bhi hai        Ghalib

No comments:

Post a Comment

Popular Posts