5/05/2015

Urdu Paper lecturer PPSC, Urdu Past Paper Lecturer PPSC

1)Masnavi “gulshan e Ishq” kis ki tasneef hai?
Nusrati

2)Kis muhaqqiq ne urdu zuban ko marhati ki sagi behn qaraar dia?
a)Ain ul Haq Farid koti
b)Sohail Bukhari
c)Shaukat sabzwaari

3)Sonnet kitnay misron per mushtamil sinf e sukhan hai?
14

4)”Logo Markeziat” kis maghrabi naqqad ki istelaah hai?
a)Xak dareeda
b)Meeshal Foko
c)Franciso leutar

5)Shaiyiri mein “shakhsiat ki nafi” ka tasawwur kis maghribi naqqad ne paish kia?
Eliot

6)Ghalib ka san e wafat?
1869

7)”Mukhzin” ka pehla shumara kab shaya hua?
April 1901

8)”kaii chand thay ser e aasman” kis ka novel hai?
c)Shams ud din Farooqi

9):Tanqeed aur amli tanqeed k musannif ka naam?
Ahtasham Hussain

10)Allama Iqbal ki nazm “Zauq o shauq” un k kis majmmoay mein shamil hai?
Baal e Jibriel

11)Talkhaba e sheereen kis ka shaeri majmooa?
Hafeez Jalandhri

12)Anjuman e Punjab se wabasta maroof angrez shakhsiat?
Dr. Lietner

13)Muqadamma sher o shairi ka saal e ishayat?
a)1891
b)1892
c)1893

14)Tarraqi pasand tehreeq ki pehli conference kaha munaqqid hui?
Lakhnao

15)”ishq o inqilaab kis taraqqi pasand shaair ki kullyat hai?
Zaheer Kashmiri

16)”halqa arbab e zauq” ka pehla ajlaas kis ki zer e sadarat hua?
Hafeez Hoshiyar Poori

17)”aaraish e mehfil” mein kon sa qissa bayan hua hai?
Hatim Taai

18)Dil gudaaz k mudeer ka naam?
Abdul haleem sharar

19)Sir Syed ki zindagi mein tehzeeb ul akhlaq ka aakhri shumara kab shaya hua?
1897

20)Sham ki mundair se”kis noyiat ki tasneef hai?
khud navisht

21. Dakkan me urdu kay aghaz kay nazariye ka bani kon hai?
Naseer Ud din Hashmi

22. Ghalib ne urdu ki kis kitab ko alfaaz ka bhatyar khana qarar diya hai?
Fasana e ajaa’ib

23. Urdu me mazmoon ki sinf ko kis ne muta’rif karaya?
Sir Syed Ahmad Khan

24. Kis novel me haraam o halal ka nazariya pesh kiya gaya hai?
Raja gidh

25. Kis afsana nigar ne apnay afsaano me ziyaada tar dehi mua’sharat ko pesh kiya?
Ahmad Nadeem Qasmi

26. Kis afsaanay ka bunyadi mozu tasanna or zahirdari hai?
Overcoat

28. “mitti ka diya” sinf kay aitbar se kya hai?
Khud navisht

30. Kis shairah kay haan “khusboo” lafz tawatar k sath istemal hua hai?
Perveen Shakir

31. kis shair ko mirza ghalib ki shagirdi ka sharf hasil hua?
Haali

31. Kis shair kay nazdeek jannat ki haqeeqat dil ko khush rakhnay ka bahana hai?
Ghalib

33. Kis naqaad ne anees or dabeer kay kaam ka jaiza ek sath liya hai?
Shibli

34. “Akhbar Urdu” ka taluq kis idaaray se hai?
muqtadira qaumi zuban

35. Pakistan adab ki tahreek ki awaleen awaz kis ne buland ki?
Muhammad Hasan Askari

36. “Taa’subaat” kis naqqad kay tanqeedi mazameen ka majmooa hai?
Fateh Muhammad Malik

37)Mirza Qutub ud din Aibak nazm_____ ka juzv hai.
Shahnama Islam

38)”Baray aalu ka kuch bayan ho jaye”_____ka mazahya mazmoon hai.
Mushtaq Ahmad Yousafi

39)”Manzil e shab”_____ka majmooa’e kalam hai.
Mukhtar sadiiqui

40)Khalida Adeeb khanam_____ki Umda tehreer hai.
Ch.Afzal haq

41)Nazm “Manto” kis shairi majmooa mein hai?
Shab e rafta

42)”Haasil na kijye daher se ibrat he kyon na ho”____ka misraa hai
Mirza Ghalib

43)Theudor Morison ka ziker____k khakay mein hai.
Sir Syed Ahmad khan

44)Heart Attack______ki nazm hai.
Faiz Ahmad faiz

45)Naeem_____ka kirdaar hai.
Udaas naslen

46)_____Aagra mein paida hue aur Delhi mein Mughal darbar se wabasta rahay..
Mirza Ghalib

47)”Aik Khadim e Khalq ki kahani”_____ki tehreer kerda hai.
Ch.Afzal haq

48)Intekhab e kalam e Meer pehli baar kab shaya hua?
1930

49)____1911 mein Sialkot mein paida hue aur lahore mein wafat payi.
Faiz Ahmad Faiz

50″Mein he tou ik raaz tha seena e kaainat mein”_____ka misraa hai.
Iqbal

51)”be’khudi le gayi kahan ham ko
daer se intezaar hai apna”______ka sher hai
Meer taqi Meer

52)Prof Sohail____ka kirdaar hai.
Raja Gidh

53)Khawaja Altaf Hussain Haali_____k mushayiron mein shareek hue,
Anjuman e Panjab

54)Shibli Naumani ki “Seerat un Nabi” ko ____ne mukammal kia
Syed Suleman Nadvi

55)Mah o saal e aashnayi_____ka safarnaama hai.
Faiz Ahmad faiz



Popular Posts